Janmashtami kab hai 2024 mein | Janmashtami kahan manae jaati hai ?
Krishna Janmashtami kahan manae jaati hai :
Dosto Janmashtami kahan manae jaati hai to hum apko bata de ki puri duniya me hi bharat desh ek aisa desh he jaha pe Janmashtami ko bhut hi dhum dham se matkiya fhod ke manae jaati hai. Lekin kuch aisi khas jahga he jaha pe har saal Janmashtami dekhne layak hoti he. Niche hamne apko un khas jaghao ke bare me bataya he jaha pe Janmashtami ko bhut hi joro soro se manae jaati hai. Agar aap bhi Janmashtami dekhne jane ka plan kar rahe he to aapko ek baar in jaghao pe Janmashtami pe ghumne jarur jana chahaiye.
. Mathura
. Vrindavan
. Barsana
. Gokul
. Jagannath Puri
. Shree nath (Rajashthan)
. Dwarika (Gujrat)
Aaj hum apko bataiyenge ki aap Janmashtami me kaha kaha pe ghumne ja sakte he. Apko hum aisi jaghao ke bare me jankari denge jaha pe har saal dhum dham se Janmashtami manai jati he. Is saal Janmashtami 2024 me bhi aise hi dhum dham se har saal ki tarha Janmashtami ka festival manaya jayega. Yaha pe hum apko bataiyenge ki Janmashtami kyo manai jati he aur Janmashtami kab hai Janmashtami me ghumne ki jagha kon kon si hai Janmashtami kahan manae jaati hai aur Janmashtami me kya kya hota hai.Janmashtami me kis bhagwan ki pooja hoti hai. Janmashtami me kya kya karte he. Aisi bhut sari Janmashtami se judi jankari hum apko denge.
1. Mathura :
Mathura bhagwan shree krishna ki janam bhumi jaha pe bhagwan shree krishna ji ka janam ek kargrah me hua tha. Bhagwan shree krishna ji ke is jagha pe janam lene ke karan ye jagha bhut hi khas he un sabhi bhagto ke liye jo shree krishna ji ko mante he. Is jagha ki Janmashtami dekhne layak hoti he. Pure mandiro ko fhoolo se sajaya jata he aur dhoom dham se yaha pe har saal mathura me Janmashtami manai jati hai. Mathura pahuchna bhut hi asan he agar aap mathura Janmashtami ke samaye Janmashtami manane ki soch rahe he to apko abhi se hi hotel ki booking kar lena he. Kyoki Janmashtami ke din is jagha pe kafi crowd bheed dekhne ko milti he.Agar aap Janmashtami dekhna hi chahate he to mathura jarur jaye.
2. Vrindavan:
Matura se matra 12 km ki duri pe he vrindava. Vrindavan bhagwan shree krishna ki wo jagha jaha pe bhagwan shree krishna ke bhavya rup se banaye gaye mandir he. In sabhi mandiro me bhagto ki hamesha hi bheed najar aati he. Janmashtami ke samaye bhi yaha pe bhut bheed dekhne ko milti hai. Janmashtami me vrindavan me bhut har taraf apko krishna ki ke program hote najar ayenge. Aur sath me mandiro ko lighing se aur phooolo se sajaya jata hai. Vrindavan jane ke liye apko sabse phele mathura ana hoga waha se aap texy ya phir local bus ke sahare ya phir auto kar ke vrindavan tak pahuch sakte he.
3. Barsana
Barsana Raadha ki nagri , krishna ke janam ki khushaya apko barsana me bhi dekhne ko milegi. Agar aap barsana ghumne ki soch rahe he to aap yaha ki Janmashtami bhi jarur dekhne jaye. Barsana jane ke liye apko sabse phele mathura hi ana hoga waha se apko auto bus ke jariye aap barsana tak pahuch sakte he.Barsana me apko kafi sare mandiro ke darshan bhi hone jaise ki kirti mandir jo radha rani ki maa ko samarpit he. Iske sath sath aap waha pe aur bhi kafi sare mandir he jaha pe darshan kar sakte he.
4. Jagannath puri:
Oridsa ke puri me sithit jagannath puri ka mandir apne me hi bhut sare rahasyo se bhara hua he Ye jagha bhi krishnaJanmashtami me bhut jyada logo ki bheed dekhi jati he. Yaha pe bhi krishna Janmashtami bhut dhum dham se manai jati he. Jagannath puri me kaha jata he ki aaj bhi shree krishna ji ka dil dhadakta he. Jagannath puri me bhut sare rahasya he Yaha pe bhi har saal shree krishna ji ke janam pe Janmashtami ko puri mandir ko sajaya jata he aur dhum dham se yaha pe Janmashtami manai jati he. Dosto iske sath sath aap puri me aur bhi ghumne ki jagha he jaha pe jarur jaye jaise ki puri beach yaha pe apko ek bhut hi shanti ka ehsash hoga.
5. Shree nath ji mandir (Rajasthan)
Rajashthan ka shree krishna ji ka Shree nath ji mandir jo bhut jyada famous he. Yaha ki krishna Janmashtami bhi dekhne layak hoti he kyoki yaha pe har krishna Janmashtami me krishna ji ke janam pe toup se salami di jati he.Ye drashya dekhne me bhut hi gajab ka hota he. Dur dur se log in jaghao pe aate he aur krishna Janmashtami ko dhum dham se manate he.
Niche apko video ke jariye bataya he ki Janmashtami kab hai aur Janmashtami kaha kaha pe dhum dham se manai jati he.
Janmashtami kab hai 2024 mein :
Har saal Janmashtami kab hai 26 august me manai jati hai aur ish saal bhi Janmashtami 2024 me 26 august Somvar ke din manai jayegi. Is din ko bhagwan shree krishna ji ke liye bhut hi khas mana jata he aur pure hindu dharm me is din matki fhod kar ke makha ki chori ki jati he aur ek tarha se ye bhagwan shree krishna ji ke janam ke rup me har saal hi manaya jane wala hindi festival he.
Janmashtami kyon manate hain :
Janmashtami manane ka sabse khas karan ye he ki is din bhagwan shree krishna ji ka janam hua tha isliye is din se hi Janmashtami ko manaya jata he. Bhagwan shree krishna ji mathura me ke karagrah me paida hua the jaha pe aaj bhi unka mandir he jaha pe har saal lakho log us jagha ko dekhne ke liye mathura tak jate he. Mathura me bhagwan shree krishna ka janaam hua tha.
Conclusion :
Yaha pe humne apko jankari di he ki Janmashtami kab hai 2024 mein aur Janmashtami kahan manae jaati hai Janmashtami ke tyohar se hame ek sath mil kar rehne ki sikh milti he aur jivan bhar krishna ji ki bhagti sradha bhav se karne ki sikh mil ti he.
Mag Paper Template is Designed Theme for Giving Enhanced look Various Features are available Which is designed in User friendly to handle by Piki Developers. Simple and elegant themes for making it more comfortable
Post a Comment