Header Ads

ads header

train me rac ka matlab in hindi

 Train me rac ka matlab in hindi  ?

Train me RAC ka matlab kya hota he

Duniya me train ka safar bhut hi araamdayak hota he lekin is train ke safar ko samjha kabhi kabhi thoda kathin sa ho jata he kyoki jo log pheli baar train me safar karte he inko bhut si chizo ka knowledge nahi hone se train safar me kafi samasyao ka samna karna padta he. Train ki ek aisi hi samasya he jise bhut se log nahi samjh pate he ki train me RAC ka matlab kya hota he. Aaj hum apko bataiyenge ki RAC ka matlab kya hota he.

RAC ka matlab kya hota hai ?

Dosto jab bhi aap online train ticket ki booking karte he tab apne aksar dekha hoga ki apko train ticket booking me aksar online RAC waiting me dikhai deta he. Ab bhut se logo ko ye samjhne me kafi dikat hoti he ki RAC waiting he kya conform sheet. Apko hum bata de ki agar apko Train me RAC waiting dikhai de raha he to apko ghabrane ki jarurat nahi he. RAC me apko sheet milna hi milna he. Agr apki RAC sheet confirm ho jaye to samjh lijiyega ki apko sleeper me sheet mil gai he jisme jab aap PNR check karenege to apko waha pe jo confirm sheet milegi usme apko coch ke naam jaise S1 ,S2, S3, S4 jaise naam diye honge aur sath me.apko sheet number bhi diya hoga jaise 34 , 36 ,.37 jaise.

Train me RAC coach me sheet kis tarha ki dikhai deti he

Agar apko RAC coach me sheet milti he to samjh jaye ki apko train coach ke andar side wali sheet milti he jisme total 3 log baith sakte he. RAC coach me apko left side me niche taraf aur uper ki aur di hui sheet milti he. In sheet pe apko thoda adjust karna padta he. Sath me apko corner me niche taraf 2 window bhi mil jati he. Is tarha se total 3 log in sheets pe baith aur so sakte he.

RAC confirm kaise hota hai ?

Jab bhi train me jyada yatri hote he aur aise me sleeper sheet waiting me hone lagti he tab train ke jane wali date ke kuch din phele hi RAC ticket ki booking chalu ho jati he. Isme apko side me sheet to mil jati he lekin is ticket.ki confirm sheet ki baat karen to ye train ke chart banane ke kuch samaye phele hi clear hoti he. Bhut se log apni train ticket cancel karte he aur ya phir unko jana nahi hota he aur  ticket ke cancel hone par phir RAC ticket ko conform kiya jata he. Lekin ye sheet apko train ke chart banane ke phele hi conform hoti kuch condition me ye 1 din phele bhi hoti he.

RAC me ticket confirmation chances in hindi ?

rac me ticket confirmation chances kafi hote he. Ye.samah lo agar ticket conform nahi bhi hui to bhi apko side ki sheets baithne ke liye mil jati he.Aur confirm ho gai to sleeper sheet mil jati he. Rac me ticket confirmation ke chances 95% tk hote hai.

RAC me kitni Sheet hoti hai ?

Jab bhi apko RAC me ticket milti he aur wo confirm nahi hui ho to aise me apko agar RAC ki sheet me baith ke jana hoga to apko total Train RAC Coach me teen sheet di jati he jisme se ek apki sheet hoti he. Train RAC coach me apko niche do sheet milegi aur uper pe single sheet di jati he. Jisme se apko agar niche sheat ka number diya gaya he to aise me apko niche window ki taraf baithna hoga aura gar apko uper ka number diya gaya hota to apko uper shift honga hoga. Apko jo bhi RAC coach milega aap us RAC coach me check kar sakte he waha pe train sheet me sheet number diya gaya hota he. Niche ki do sheet me agar apko sheet number milta he to aise me aap un sheet ko baithne aur sono ke hisab se anytime adjust kar sakte he. Agar apko baithna he to samne wale person se aap baat kar ke sheet ko baithne ke liye convert kr sakte he. Aur agar apko sona he to aise me apko sheet ko khol ke ek sath join karna hoga phir aap aur samne wala person dono hi ush sheet me adjust kar ke so sakte hai.

Conclusion :

Yaha pe humne apko RAC ke bare me jankari ki matlab Train ke RAC ticket ki puri detail me jankari di he. Jisme apko ye bataya gaya he ki RAC ka matlab kya hota he aur kis tarha se RAC Ticket milti hai aur kin condition me apko Train me RAC ticket di jati he aur in Train RAC coach me apko RAC ticket me sheet milti he ki nahi aur bhi aisi hi bhut sari jankari apko hamare blog me milegi.

कोई टिप्पणी नहीं