रहदेवी गुफा सम्पूर्ण जानकारी - Mysterious Ragha devi Temple Cave Chhindwara
Agar apko ghumna fhirna pasand hai to aise me apko aaj hum ek aisi location ke bare me jankari denge jo bhut hi adventure hai aur bhut hi historical bhi. Is jagha ka naam hai Raghadevi cave. Raghadevi cave matlab Raghadevi gufa. Waise to Ragha devi ek village (gao) ka naam hai isliye is gufa ko bhi raghadevi ke naam se jana jata hai.Raghadevi gufa chhindwara ke ramakon me isthit hai. jaha tak aap sadak marg se pahuch sakte hai. Ye raghadevi cave dekhne me ek bhut hi gehri gufa hai jisme bholenath ji ki pratima virajman hai.Agar aap bhi is raghadevi cave tak pahuchna chahate he to aaj hum apko raghadevi tak aap kaise pahuch sakte hai aur ragha devi me apko kya kya dekhne ko milega aur bhi chhindwara ramakona ki ragha devi gufa ke bare me apko aur bhi bhut sari jankari hamare is post me apko milegi.
.jpg)
Raghadevi gufa kaise jaye ?
Raghadevi gufa tak jane ke liye apko sabse phele Ramakona pahuchna hoga , Ramakona se Raghadevi ki duri 17 km hai. Ramakona tak pahuchne ke liye aap do taraf se yatra kar ke pahuch sakte hai phela to hai chhindwara (MP) aur dusar hai nagpur (MH). Niche hamne apko bataya hai ki aap chhindwara se raghadevi kaise pahuch sakte hai aur nagpur se raghadevi tak kaise pahuch sakte hai.
Chhindwara to Raghadevi tak kaise pahuche ?
Chhindwara se raghadevi pahuchne ke liye apko cchindwara se karib 61 km ki duri taye karna hoga.
Chhindwara se raghadevi tak aap apni khud ki motercycle bike ya phir khud ki gadi kar ke bhi pahuch sakte hai. Iske alawa aap chhindwara se raghadevi ke liye by bus ramakon tak pahuch sakte hai phir ramakona se aap raghadevi tak auto kar ke aap yaha tak pahuch sakte hai. Iske alawa aap chhindwara se nagpur bus me baithkar bhi ramakon tak aa sakte hai. Ramakona se raghadevi ki duri 17 km ki hai.
Nagpur to Raghadevi tak kaise pahuche ?
Jo log nagpur se raghadevi tak aana chahate hai wo log nagpur se chhindwara bus me baith kar ramakona tak aa sakte hai. Nagpur se raghadevi ki duri karib 96 km ki hai. Nagpur se aap chahae to sausar tak aa sakte hai kyoki nagpur se sausar ki duri 71 km ki hai aur sausar se raghadevi ki duri karib 25 km ki hai.
Raghadevi me kya kya dekhne ko milega ?
Raghadevi me apko ek bhut historiyal 200 saal se bhi jyada purani gufa dekhne ko milegi jise bhut hi prachin gufa mana jata hai. Madhya pradesh ki ye aab tak ki sabse prachine gufa mani jati hai jisme apko bhagwan bholenath sankar ji ki prachin murti hai. Gufa me apko kafi sanata sa lag sakta hai Gufa ke teen khufiya raste hai jisme se raste me apko bhagwan sankar ji ki pratima ke darshan honge aur dusre raste me apko bhagwan bholenath ke 12 jyotirlinga ke darshan honge.Aur esthaniye logo ke hisab se Gufa me ek rastha aur he jise ab band kar diya gaya hai kaha jata hai ki gufa ke andar ka wo ek aisa rahasyamai aur khufiya rashta hai jo sidha pachmarhi chouragad tak pahuchta hai. Lekin gufa ka ye rashta kafi dangour hone ke karan ise ab band kar diya gaya hai. Jab aap Ragha devi mandir tak pahuchte he to apko waha pe sabse phele bhagwan shri ganesh ji ke darshan honge uske baad apko kuch sidiya najar ayengi sidiyo se upar jate hi apko ke gehri si kue ki tarha ek gehri gufa dikhai degi jaha pe gufa ke andar jane ke liye apko sidiya lagi hui hai. Is prachin gufa me ek khadi sidi lagi hui he jiske jariye aap gufa tak pahuch sakte hai.
.jpg)
Raghadevi ki kahani ?
Raghadevi temple ki ek bhut hi prachalit kahani hai. Kaha jata hai ki jab bhagwan bholenath ne bhasmasur ko vardaan diya ki wo jiske sar pe bhi haath rakhega wo bhasm ho jayega. aur tabhi bhasmasur bholenath ji ke sar pe hath rakh ke unko bhasm karne ki kosish karta hai tab bhagwan bholenath bhasmasur se bach ke sabse phele isi Raghadevi gufa me aaye the . Aur iske baad raghadevi gufa se andar hi andar ek khufiya rasta jata hai jis rashte se bhagwan shiv pachmarhi chouragad pahuche the. Is Gufa ki khoj ek bakri wale ne ki thi. Kaha jata hai ki ek din ek bakri chalane wale ki bakri kho gai phir wo bakri ki khoj karte karte is gufa tak ja pahucha uske baad is gufa me wo ek moti bela ke sahare gufa me niche utra tha phir ushi bakri wale ne sabhi gao walo ko is gufa ke bare me jankari di aur uske baad is 200 saal se bhi purani gufa ki khoj hui.
Conclusion :
Yaha pe apko raghadevi ki jankari di gai hai jo ek bhut hi prachin gufa hai jiske bare me kaha jata hai ki bhagwan bholenath is gufa me bhasmasur se apni jaan bacha kar bhagte samaye yaha pe ruke the.
Post a Comment