Header Ads

ads header

नर्मदा घाट बरमान कैसे जाये ? - Barman Narmada ghat narshingpur ka mela

नर्मदा घाट बरमान कैसे जाये ? - Barman Narmada ghat narshingpur ka mela




Aaj hum apko bataiyenge ki aap Narsinghpur ke barman ghat tak kaise pahuch sakte hai aur Barman me Maa narmada ghat ke alawa aur apko kya kya dekhne ko milega. Barman me maa narmada ghat ki kuch photos bhi apko dekhne ko milegi sath me apko is saal Makarsankranti ke din bharne wale mele ki bhi jankari milegi. Sath me apko ye bhi bataiyenge ki aap Boat se Sapthdhara tak kaise pahuch sakte ho aur aur Boat se Deepeshwar dham kaise ja sakte ho Boat ka kiraya kya hai. Dosto Pure saal me sirf ek baar madhya paradesh ka ye Narmada ghat ka mela bharta hai jaha pe puri duniya ke log maa narmada me dupki lagane aate he. Ye jagah sabhi hindu dharm premi ki ashtha ka pratik hai. Waise to maa Narmada nadi Amarkanta se nikal kar puri duniya me faili hai Aur Barman Narshingpur me bhi maa narmada ghat ke naam se jana jata hai. Yaha pe apko deepeshwar dham bhi dekhne ko milega. 

Hamne yaha pe kuch khas topic cover kiye hai.

1. Narmada ghat Barman kaise jaye ?
2. Narmada Ghat Makar sankranti Mele ki Jankari?
3. Barman Narmada ghat Deepeshwar dham ke bare me ?
4. Narmada Ghat ka Sapthdhara ?


1. Narmada ghat barman kaise jaye : 

Barman Narmada ghat pahuchne ke liye aapko sabse phele Narshingpur aana



hoga aur narshingpur tak aane ke liye apko sabhi rajyo se Train aur bus mil jati hai . Narshingpur se Barman Narmada ghat ki duri matra 30 km ki reh jati hai. Jab aap Narshingpur pahuchte he to narshingpur se apko barman tak jane ke liye bhut hi asani se auto riksha aur Bus ki suvidha mil jati hai jisse aap Barman ghat tak pahuch sakte hai. Agar aap train se yaha tak pahuchna chahate he to aapko Narmadapuram(hosangabad), Pipariya, Bhopal, Indore, Itarsi, Jabalpur jaise kai city se apko train mil jati hai. 

2. Narmada Ghat Makar sankranti Mele ki Jankari?

Barman Narmada ghat me ek bhut hi vishal kaye mela har saal bharta hai aur ye mela Makar sankranti ko 14 tarik ko bharta hai jo pure mahine tak bhara rehta hai. Maa narmada ghat pe door door se log is ghat me narmada me dupki lagane ko aate hai aur yaha ke mele ka anand lete hai. Mele me apko baccho se judi kafi chize dekhne ko milti hai jaise ki Baccho ke jhule aur baccho ke khilone iske sath sath apko pooja path ki kai dukane bhi dekhne ko milegi jaha se aap Fhool agarwati jaise pooja ke saman kharid sakte hai.

3. Barman Narmada ghat Deepeshwar dham ke bare me  ?

Barman Narmada ghat me ek jagah hai jise |Deepeshwar dham ke naam se jana jata hai ye jagah barman ghat ki sabse khas jagah he Deepeshwar dham ek tarha se dekhne me ek island ki tarha dikhai deta hai jaise ki ek tapu ho. Deepeshwar dham tak jane ke liye apko boat ka sahara lena hoga. Boat apko deepeshwar dham tak jane ke liye 10 rs per head charge lete hai. Iske sath sath apko deepeshwar dham me apko baccho ke liye bhut hi badiya sa park aur garden bhi dekhne ko mil jata hai jaha pe apko ek boat ki tarha dikhne wala baccho ka ship he jaha pe bacche kafi enjoy karte hai. Yaha pe apko hanuman ji ki ek kafi badi pratima bhi dekhne ko milegi yaha pe apko bhagwan bholenath ke bhi darshan honge.

4. Narmada Ghat ka Sapthdhara ?



Narmada ghat me apko ek jagah he jise sapthdhara ke naam se jana jata hai lekin yaha tak jane ke liye apko boat ka sahara lena hoga. Boat ko sapthdhara ke karib tak le kar jati hai. Boat ka sapthdhara tak jane ke liye apko 300 rs per head kiraya lete hai. Sapthdhara me Maa Narmada saath jagah pe alag alag jagah nikli hai isliye use sapthdhara kehte hai.

कोई टिप्पणी नहीं