Balajipuram betul kaise jaye कैसे पहुंचे | कहा पे रुके
Balajipuram Betul आज हम आपको बताएंगे कि आप बैतूल के बालाजीपुरम कैसे पहुंच सकते हैं और वहां पर कहां पर रख सकते हैं वहां तक पहुंचाने का किराया कितना होगा किस-किस स्थान से यहां पर पहुंचा जा सकता है कौन सा माध्यम है जहां से आप आसानी से इस जगह पर पहुंच कर दर्शन कर सकते हो बालाजी बैतूल के बालाजीपुरम में कौन से भगवान हैं और बैतूल के बालाजीपुरम का मंदिर का खुलने का समय क्या है वहां पर प्रसाद कितने रुपए में मिलता है पूरा मंदिर घूमने में कितना समय लगेगा और बैतूल के बालाजीपुरम से जुड़ी सभी जानकारी हम आपको आज देंगे |
Betul balajipuram kaise jaye
बैतूल के बालाजीपुरम पहुंचने के लिए आपको सभी मार्ग से साधन मिल जाते हैं आप किसी भी राज्य से इस जगह पर पहुंच सकते हैं यहां पर आपको सभी राज्यों से सड़क मार्ग से हवाई मार्ग से और पटरी के माध्यम से आप आसानी से यहां पर पहुंच सकते हैं
By Train :
Betul ke balajipuram jane ke liye aap train se bhut hi asani se yaha tak pahuch sakte he. |Betul balajipuram tak aane ke liye iska sabse nearest railway station he Betul railway station. Jaha tak aap bhut hi asani se train ke madhyam se pahuch sakte he. Iske alawa agar apko betul tak ke liye direct train nahi milti he to aap nagpur railway station me ya phir chhindwara railway station me bhi uttar sakte he. Phir yaha se aap bus ke jariye betul tak pahcuh sakte he.
By Air :
Dosto Betul Balajipuram tak pachuchne ke liye sabse nearest airport jo hai wo Nagpur airport he. Jaha pe aap utar kar taxi bus ke jariye ya phir kisi bhi private gadi ke jariye betul tak pahcuh sakte he. Ya phir Nagpur se aap direct betul ki train me baith ke betul railway station tak pahuch sakte hai.
By Bus :
Betul balajipuram tak jane ke liye aapko sabse phele betul tak pahuchna hoga betul se balajipuram ki duri karib 7 se 8 km ki hai. Aapko betul ane ke liye bus sabhi rajyo se mil jati he
Betul Balajipuram mandir ki timing:
Betul balajipuram me kya kya dekhne ko milega.
1. Sesh nag gufa
Betul balajipuram me sesh nag gufa logo ko kafi akarshit karti he. Ye gufa kafi badi gufa he is gufa me apko nag ke muh se pravesh karna hota he phir nag ki puch se bahar aana hota he. Sesh nag gufa me apko bhagwan ki murti ke darshan hote he.
2. Shani mandir
Betul balajipuram me apko sani mandir bhi dekhne ko milega jo thik balajipuram ke samip he. Yaha pe apko bhagwan sani ji ke darshan honge. Bhagwan sani mandir me sabhi log sani bhagwan ko tel chadate hai.
3. Vaishno dham [75 feet ki uchai]
Betul Balajipuram me maa Vaishno dham mandir banaya gaya he jo dekhne me bhut adbhut he. Ish mandir me Maa vaisno Devi ki 75 ft ki gufa banai gai he jo kafi badi gufa he. Ye gufa raam gufa se lagi hui he
4. Chipkali mandir gufa
Betul balajipuram me apko ek aisa ajeeb vichitra mandir bhi dekhne ko milega jise chipkali mandir ke naam se jana jata he. Chipkali mandir bhi ek choti gufa me banaya gaya he. Jaha pe apko ek chandi ki chipkali ke darshan honge. Jo gufa ke upar pr chipki he. Chipkali mandir ke piche ke prachalit kahani bhi he
5. Maa santoshi mata mandir
Betul balajipuram me apko maa santoshi mata mandir ke darshan bhi hone jo ek choti se gufa aur sidiyo se hokar jakar darshan hote he
6. 12 jyotirling mandir [25 feet gheri gufa]
Betul Balajipuram me jab aap andar ki aur jate he to apko waha pe 12 jyotirling mandir ke darshan hote hai. 12 jyotirling ke darshan karne ke liye apko gufa ke andar pravesh karna hoga. Jaha pe apko darshan ke liye alag se ticket lena hoga. Gufa me apko alga alag 12 jyotirling ke darshan honge. Gufa karib 25 feet lambi hai
7. Ram bhagwan gufa
Betul Balajipuram me apko bhagwan shree ram ji aur laxman sheeta mata ji ki murtiyo ke darshan bhi honge. Ye gufa bhi kafi badi he. Aur is guffa me apko bhut hi badiya si kalakariya bhi dekhne ko milegi. Agar aap Betul balajipuram jaye to ek baar ram bhagwan gufa me jarur pravesh karen. Darshan ke liye apko koi bhi ticket lene ki jarurat nahi hoti hai
8. Maa sharda devi mandir
Betul Balajipuram mandir me aap maa sharda devi ke darshan bhi kar sakte he ye mandir bhi dekhne layak aur darshan ke liye he. Yaha pe apko maa shard. Maa sharda devi ka mandir maihar maa ke dekh ke banaya gaya he.
9. Maa bamleshwari mandir
Betul Balajipuram mandir me apko ek mandir aisa bhi milega jaha pe ako maa bamleshwari devi ke darshan honge. Ye mandir dongargad devi balmeshwari maa ka mandir ki tarha he. yaha pe bhi darshan jarur karen.
Noka bihar
Betul Balajipuram mandir me apko noka bihar ki suvidha bhi dekhne ko milti he jaha pe aap ek romanchak safar ka maja le sakte he. Yaha ki noka bihar apko pedal wali noka dekhne ko milegi. Jise apko pedal mar ke chalana hoga. Jaise jaise aap nav ke pedal ko chalanege apki nav dheere dheere aage chalne lagegi. Aap is nav ke jariye apko kuch jagha bhagwan ke chalchitra bhi dekhne ko milege.
Niche apko noka bihar ke charges ke bare me bataya gaya he
Per person : 35 rs one side
Both side per person : 70 rs
Personal noka : 175 rs ek side
Both side : 300 rs
3 years baby : No charges
Betul balajipuram me rukne ki jagha :
Betul ke balajipuram me apko mandir ke samip hi khud balajipuram ka dharmshala he jaha pe aap ruk sakte he. Jaha pe apko kafi kam charges me room mil jate hai. Iske alawa apko ruke liye betul me bhi bhut sare hotel mil jate he jaha pe aap ek se do din stay kar sakte hai.
Conclusion :
Yaha pe humne apko betul ke balajipuram kaise pahuch sakte hai waha pe pako kaha pe rukna chahiye kya khana chahiye aur betul mandir me apko kya kya dekhne ko milega is bare me jankari di hai.
Post a Comment