Header Ads

ads header

Delhi me ghumne ki jagah | 20+ दिल्ली में घूमने की जगह

Delhi me ghumne ki jagah 

Aaj hum apko kuch delhi me ghumne ki jagaho ke bare me jankari denge jaha pe aap ghumne ja sakte hai. Sath me apko un jaghao ke bare me kafi sari jankariya bhi yaha pe milegi jiske jariye apko ye pata chalega ki Delhi me un jagah ki khas baat kya hai. Niche apko Delhi me ghumne ki un khas jagah ki list  di hai jise aap dekh sakte hai.

Delhi me ghumne ki jagah

Places NameDsitance from Delhi
India Gate21.4 Km
Red Fort20.1 km
Lotus Temple34.2 km
Jama Masjid20.3 km
Humayun's Tomb22.7 km
Akshardham31.0 km
Gurudwara Shri Bangla Sahib16.9 km
National Rail Museum19.8 km
Jantar Mantar18.3 km
Lodhi Garden21.2 km
Rajghat19.8 km
National Museum19.1 km
Dilli Haat24.2 km
Rastrapati bhavan17.4 km
Purana Quilla21.9 km
Qutab Minar31.0 km
Ugrasen ki Baoli19.2 km
Waste To wonder theme park26.6 km
Tajmahel243.2 km
Neemrana fort124 km

India Gate : 

India Gate Delhi image

Yaha pe sahido ki kabra me unka naam bhi likha gaya hai. Ish India Gate ko British Vastukar ne banaya tha. India Gate me amar jawan jyoti 1971 me bharat aur pakistan ke war ke douran shahid sainiko ki yaad me jalai gai. Is amar jyoti ka udhgathan Pradhan mantri Indra gandhi ne kiya. India Gate me bani smarak ke aas pass ek bhut hi khubsurat gardan banaya gaya hai. Jaha pe aksar log apna samaye bitane aate hai. To agar aap bhi delhi me ghumne ki jagah soch rahe he to India Gate jarur jaye.

Red Fort (Lal kila)

Lal kila red fort delhi red fort delhi

Delhi me ghumne ki jagah me se ek hai Delhi ka red fort jise delhi ka lal kila ke naam se bhi jana jata hai. Delhi ka lal kila jaha pe dur dur se log is jagha pe ghumne ke liye aate hai. Delhi ka lal kila  1638 se 1648 ke bich me mugal samrat ne banwaya tha. Kaha jata hai ki Mugal samrat Sahajaha ne jab agra se delhi ko rajdhani banwaya tha tabi is Lal kile ka nirmad kiya tha. Is jagha ka naam Red fort kahe ya lal kila wo isliye pada kyoki is jagha ki diwale Lal patharo ki uchi diwaro se banai gai hai. Ye kila karib 2 kilometer ke dayre me bana hua hai. Lal kile ki diwar karib 33 meter uchi hai. Lal kile ke andra kafi sari emarate hai jaise ki diwan e aam diwan e khas rang mahal aur ek mumtaj mahel jo is lal kile ka sabse khas jagah hai. Kaha jata hai ki Diwan e aam jaha pe samrat aam janta se mulakat karte the aur unke dwara batai gai sikayato ko sunte the. Aur Diwan e khas me samrat apne khas atithiyo se mulakat karte the. Swatantrata sangra ka lal kile se bhi bhut gehra taluk hai. Kaha jata hai ki jab hamare des ko 15 aug 1947 me ajadi mili tab pandit jawahar lal nehru ne pheli baar lal kile ke lahori gate pe bharat ka rastiya dwaj ko lehraya tha jiske baad se har saal 15 aug 1947 swatantrata diwas me pradhan mantri ke dwara apne bharat ke rastiya dwaj ko faihraya jata hai. To agar aap bhi Delhi me ghumne ki jagah ke bare me soch rahe he to apko ek baar is lal kile red fort ko jarur dekhne jana chahiye.

Lotus Temple :

lotus temple delhi


Delhi ka lotus temple jise kamal mandir ke naam se bhi jana jata hai. Ye ek aisa mandir he jaha jiski banavat khilte kamal ke fool ki tarha dikhai deti hai. Ek lotus ke fhool ki tarha iski banavat ke karan ise lotus temple kamal mandir ke naam se jana jata hai. Lotus temple me apko koi bhi bhagwan ki murti najar nahi ayegi kyoki is mandir ka nirmad sabhi dharm jatiyo ki liye kiya gaya tha. Jiske karan yaha pe har dharm jati ke log yaha pe aa sakte hai. Is jagah pe aakar ek shanti ka eshsas hota hai. Bhut se log yaha pe aksar meditation karne bhi aate hai. Ye jagah kafi shant vatavaran ka anubhav karwati hai.To ghumne ki jagah me aap lotus temple ko jarur shamil karen.

Jama Masjid :

jama masjid delhi

Delhi ki Jama masjid puri ko masjid e jahanuma bhi kaha jata hai. Kaha jata hai ki ye Delhi ki sabse badi aur sabse khas masjid hai. Jise sangemar ke patharo se aur Lal patharo se milakar banaya gaya tha. Iska nirmad bhi Mugal samrat sahajah ne 1650 se 1656 ke bich me karwaya tha. Kaha jata hai ki is jama masjid ko banwane me ush samaye karib 10 lakh ka kharcha aaya tha.Kaha jata he ki is jagha pe 25000 log ke sath namaj ada kar sakte hai.

humayun's tomb museum

humayun's tomb delhi

Delhi me ghumne ki jagah me ek hai humayun's tomb matlab humayun ka makbara ya ise aap ek tarha se ye bhi keh sakte hai ki humayun ki kabra. Delhi se 22 km dur mathura road me ye humayun ka makbara hai. Jaha pe aap ghumne ja sakte hai. Kaha jata hai ki Humayun ki kabra ko unki pheli patni ne 1569 se 70 ke bich me banwaya tha. 

Akshardham :

 swaminarayan Akshardham mandir ek hindu mandir hai jo delhi se 31 km ki duri pe esthit hai.Is mandir ko bhagwan swaminarayan smrati me banwaya tha. Yaha pe apko bhagwan swaminarayan ke darshan honge. Mandir me apko teen alag alag tarha ek dwar dekhne ko milege. das dwar Bhagti dwar  Mayur dwar Mandir ka nirmad sangemar mar ke patharo se aur balooa patharo ke misran se kiya gaya hai. Kaha jata hai ki is  swaminarayan Akshardham mandir ko banwane me kam se kam 5 saal ka samaye laga tha. swaminarayan Akshardham mandir ki banavat dekhne me bhut hi khubsurat hai. To agar aap bhi delhi me ghumne ki jagah ka soch rahe he to ek baar is mandir bhi jarur jaye.

Gurudwara Shri Bangla Sahib


Gurudwara Shri Bangla Sahib delhi ke sabhi gurudwaro me sabse khas gurudwara hai. Ye Gurudwara baba khadgshig marg gol market ke pass me hai. Gurudwara ke pani ko bhut hi pavitra mana jata hai. Ye Gurudwara sabhi hindo aur sikho ke liye kafi khas pavtra esthal hai.

National Rail Museum


National Rail Museum delhi


Agar aap log bhi purani train dekhne ke sokin hai to ek baar delhi ke national rail museum jarur jaye jaha pe apko duniya bhar ke alag alag tarha ke rail engin dekhne ko milenge. Yaha pe purane purane coach rail engin he aur unke model bhi hai jinko aap dekh sakte hai. Jisme apko bharat ki sabse pheli rail model engin dekhne ko milega. National rail museum ki timing ki baat karen to ye museum subha 10:00 am me open hota hai aur isme last entry 4:30 pm tak ki hai. Ticket ki baat karen to is national rail museum ki ticket apko online aur offiline dono hi tarike se mil jati hai.To agar aap delhi me ghumne ki jagah dekh rahe he to ek baar is delhi ke national rail museum me jarur jaye.

Jantar Mantar delhi


Delhi me ghumne ki jagaho me se ek hai jantar mantar jise maharaja jaysingh ne 1724 me banwaya tha.Pure bharat ki jaghao me se ye jantar mantar ek bhut hi anokhi jaghao me se ek hai. Jantar mantar ek tarha ki vedhsala hai jiska estemal surya chandrama graha ki sahi esthati janane aur samaye aur saal ki jankari jaisi gadna karne ke liye istemal kiya jata tha. Jantar mantar jaipur ke maharaja jaisingh ke dwara 1724 me banwaya gaya tha. Kaha jata hai ki Jantar mantar ko banwane me karib 6 saal ka samaye laga tha. To ek baar is anokhe yantra ko jarur dekhne jaye. Delhi me ghumne ki jagaho me ise bhi shamil karen.

Dilli Haat

delhi haat bazaar image



Delhi ka ek bhut hi khubsurat market jise dili haat ke naam se jana jata hai. Aap yaha pe dher saari shooping kar sakte he. Yaha pe apko Traditional dress traditional decoration items aur traditional kapde. aur bhi aise bhut kuch items he jo dekhne ko milenge. Dilli haat me apko kafi kam price saman dekhne ko mil jate hai. Yaha pe aksar logo ki bheed lagi rehti hai. To agar aap delhi me ghumne ki jagah dhund rahe hai to ek baar delhi ke is dilli haat me jarur jaye. Yaha pe apko kafi maja ayega.

Lodhi Garden

Delhi ka ek bhut hi khubsurat garden jiska naam hai lodhi garden. Phele british ke samaye iska naam tha lady willingdon baad me iska naam lodhi garden ho gaya. ye ek bhut hi badiya ghumne ke liye garden he jaha pe aap ghumne ja sakte hai. Is lodhi garden me apko favare dekhne ko milege aur sath me khubsurat fhool bhi. Lodhi garden delhi se matra 21 km ki duri pe hai.

Rajghat

Delhi me ghumne ki to bhut jagah hai ek jagah jiska naam hai Rajghat. Rajghat me apko rastiya pita mahatama gandhi ji ki samadhi dekhne ko milegi. Mahatma gandhi ji ki samadhi ke ass pass apko bhtu khubsurat garden dekhne ko milega. Sath me apko rajghat ke samip hi ek Shanti van bhi dekhne ko milega jaha pe apko bharat ke phele pradhan mantri Jawahar lal Nehru ki samadhi dekhne ko milegi. To delhi me ghumne ja rahe he to Rajghat jarur jaye.  

Qutab Minar

Qutab Minar delhi image free

Delhi ka Qutab Minar Delhi ke mehroli me esthit hai Kaha jata he ki vishv me banai gai eto ki ye sabse uchi emarat hai ye bhi delhi ka ek bhut hi pramukh sthal hai jaha pe aap ghumne ke liye jaa sakte hai. Qutab Minar 73 meter ucha jisme 379 karib sidiya hai.

 


Conclusion :

Yaha pe humne apko delhi me ghumne ki jagah ke bare me jankari di hai. Delhi me wo sabhi Delhi tourist places ko hamne yaha pe cover kiya hai jaha pe aapko delhi me ghumne ke liye jarur jana chahiye ye sabhi jagah bhut khas hai. Aap yaha pe ghumne ja sakte hai. Iske sath sath apko ek video bhi hamari post me dekhne ko milega jise play kar ke aap dekh sakte ho ki delhi me kaha kaha pe ghumne ja sakte hai.

कोई टिप्पणी नहीं